Until I Bow Down(autobiography)Chapter 4

 





Chapter 4



#School ...

ye school wali journey...kaafi alg ho gyi meri life se ....meri av 2 life chlni suru ho gyi...ghar par fmly k sath alg...jaha m khus rhta hmesa...dusri school me...jaha m bilkul akela feel krne lg gya tha . sabse alg...isliye meri badi mmi ne....sunil bhai ka admission bhi mere saath mere school me hi krwa diya....or admission k kuch din bad hi mere badi mmi or tau ji(Bade papa) bahar rhne k liye Mohindergarh sift ho gye...or sunil bhai ko mere saath k liye..yhi gaav hi chhod gye hmare saath

Av main or sunil bhai ek govt. school me jaate the...jo hmare gaav me hi tha...sunil bhai mera school bag bhi le jaate the...sunil bhai mujse ek class aage the ab ..to jaise hi school jana suru hua hmara to jo meri class k bche the...wo mujse bahut ajeeb behv krne lge...or sath me techers bhi..

jab m chhota tha to muje lgta tha ki ...ye sab mere pair ki wjaah se h ...class k bche...mere saath kuch v shrarat krke bhaag jaate...jaise dhkka mar dena...class ki bench se gira dena...or ese muje kaafi bar pair me bhi lgi...or in sab ki complaint krne techrs k paas bhi jata tha...lekin wo mujhe kuch जातिय टिप्पणियां krke mujhe hi daant kr bhej dete the...or isme sabse main meri ek women techr thi...naam nhi lunga unka m...wo to class me... school me... jahaa bhi m dikhta...wahi kuch na kuch esa bolti ...jis se mujhe bura lgta...ye sab muje us tym smj nhi aata tha...m sochta tha ki mera av ek pair h isliye sab mujse esa behv kar rahe h...

lekin abhi mere paas ek dost tha ....😁mere big bro sunil bhai...koi bhi school me mujse badtmiji krta ...m isko bta deta tha....or ye usko akele hi peet aata tha...or m ullu fir bhi yhi sochta ki bicharo ko peet deta h ye...ni btaunga av isko kuch bhi...lekin bhai k kuch frnd the meri class me...jo bhai ko sari khabar de dete the meri...ek esa h incident m share karna chahunga yha.... ek din m apni bench par jaa k baitha hi tha....to ek ldka aaya or usne mujhe dhakka lga k niche gira diya...or us se mere pair me bhi lagi...or khun bhi nikla pair se...par ye bat maine bhai se nhi btai....fir school ki chhutti hui...m bahar aaya...to dekha bhai usi ldke ko peet rahe the....jisne mujhe bench se gira diya tha....wo bhi us ldke ki mmi k samne hi...fir ghr aaya m...mmi ne muje btaya..."are tu isko btata kyu nhi h teko koi presaan krta h to...us ldke ne teko banch se gira diya...ye bhi ni btaya tune...vo to pdos wale ldke ne bta diya to..isliye ldai kr aaya us se" .......iske bad us school me koi b mujse panga lene se drta tha...fir mera school chang hua.....ek privet school me bhej diya gya meko...or is school k techers or students kafi achhe the...kabi koi misbhv nhi hua ....yha ek ldki meri dost bhi bani...Ravina naam tha uska..or ye hmari class ki monitor thi

avi m 4th class me tha...hmari class me ek ldki thi... Pooja name se...isko murga banna bahut pasnd tha...iske khyal hi alg the...sath me intelligent b bahut thi...bt techer se punishment k liye janbuj k galti kr deti thi....

dhire dhire...sab sahi hota gya...meri badi mmi or unki famly av fir se gaav aa k rahne lge the.....kuch year bad...jab maine 5th class complete ki...to class k sath is school ki fee bhi bhdne lagi jo meri family aford nhi kar paa rahi thi...isliye mera school fir chang kar diya gya...

av mera addmission gaav ke hi ek privet school me krwa diya...

av m 6th class me ho gya tha...mera first day tha is school me ab...main school gya...class me baitha.....jaise ki mujhe class me sabse aage baithna achha lagta tha...isliye mne sabse pahle pahuch kar sabse aage beg rkha apna...or ground me chla gya...thodi hi der me bell baj gyi...m class me aaya ...mera beg av jaha maine rkha tha ...waha nahi tha...kisi ne sabse last me rkh diya...

maine mere aage wale ldko se puchha esa kyu Kiya...sabne kaha ye hmari jgah h...ham kab se aa rahe h...maine socha thik...iske bad jab sir attendance lene lge hmari to pta chla meri wali me sabi ka first day hi tha ....ye dekh k maine sir se unki complain ki...sir ne mujse kaha...koi ni jaha baitha h wahi baitha rh...wo bhi to jgah hi h......

iske bad ek hmara period khatam ho gya...jaise hi sir class se bahar gye...meri class k kuch bacho mil k mujhe pitne lge...or is wjaah se mere pair me bhi lag gyi thi...fir alge period me jo sir aaye maine unse un sabhi bacho ki complain ki...lekin sir ne meri bat ansuni kar di......ese karke mera 6th class ka first day bahut khrab gya tha...lekin abi to bas ye suruat thi...iske bad...bahut gnda bahv hone lga mere sath...

meri class me av ek hi stundent tha jo mera pdosi or meri cast ka tha.....baki sabi dusre mohlle or dusri cast k the...

av mere classmates mujhe roj paresan to karte hi the....sath me sir se meri juthi complain tak kar dete the...or meri class ki jitni bhi ladkiya thi...sabhi un bacho ka support krti thi....m sir ko kuch btata tha...to wo muje bolne tak ka moka nhi dete the...is school me mera koi dost ..koi apna nhi tha..... ab m dhire dhire school jaane se darne lga tha...

ese hi ek din ki complain muje yad h ...hmari class k ek bche ne muje ek book laa k di ..or bola ki ye tu padh lena...m school ki library se laya hu...tere liye...ye dekh...m khus ho gya...

maine us se puchha agr sir dantenge to?

usne kaha..:-nhi dantenge...m unse puchh ke hi laya hu..

fir iske next day ...jis bache ne muje book di...usne sir se meri us book k liye sir se complain kar di...

usne sir se kaha:-sir isne library se ek book chura li...iske beg me h wo abi..

sir ne mera beg check kiya...wo book mere beg me hi thi...sir ne nikali or mujse pucha..."tumne ye book chori kyu ki?"..

maine kaha:-sir maine chori nhi ki...isi ne mujhe laa k di or bola ki tu pad lena...ye m sir se puchh k hi laya hu...

meri bat sun k sir us ladke se puchha...

kya ye sach bol raha h?

us bache ne ansr kiya:-nhi sir.. isne chori ki h ..chahe baki bacho se puchh lijiye aap..

or uske ye kahne par sabi bacho ne ha kh diya...

is baat ko le k sir ne muje bahut danta...


ab school mere sath hone wala ye behave bhdta hi jaa raha tha...lekin m bhi ldai karne lag gya sab se ..puri class ek taraf or m ek taraf rhta tha... 


Comments

Popular Posts